Hindi Love Shayari-romantic hindi shayari - Laughing colors Stock Photos, Images, & Pictures | Shutterstock
Searching...

.

Hindi Love Shayari-romantic hindi shayari

Apni madhosh nigahon se sawera karna
Isi veeran shabistan mein ujala karna

Tergi rehti hai teri shab-o-roz yahan
Tum ksis roz yahan aker basera karna

Woh tou phoolon se bhi nazuk hai buhat der talak
Jab bhi dekho tou nazer uski utara karna

Apni zulfon mein chupalon mujhko buhat udaas hoon mein
Roshni Chubhti hai ankhon mein adhera karna

Yoon tou har din teri khushboo se jawan rehta hai
Ankh lag jaye tou khuwabon mein bhi aya karna

Woh kisi roz idher se bhi guzer sakti hai
Tum na ik pal bhi nazer apni hataya karna

Tumne baadal ki tarhan dhoop chupani hai Aziz
Tum har aik sham use chaand dikhaya karna
posted by Rahul at 12:58 AM | 2 comments
hyderabadi shayari

manjil agar hai tau raahein bhi hongi
jindgi hai tau mot ki panahein bhi hongi
kyun bhool jaata hai tu baar-baar
aaj iss gulsan mein nahi ek bhi patta tau kya hau
kal tere baag mein baharein bhi hongi. 

jindagi ke mele me khud ko akela pata hun
kahin raaste veerano mein na badal jayein
yahi sochkar ghabraata hoon.

duniya ne saath chhod diya tau kya hua
mein phir bhi raahon par chalta jaata hoon.

kabhi tau kisi mod par manzil milegi
bas yahi sochkar
muskilon, se aage badhta jaata hoon. 

Kaun Kahata hai ki in aankhon me nami Hai,
in nigahon mein tau gum ki kuch kami hai,
samajna na ise aansuon ka aagaz,
ye daastaan tau sadiyon se ankahi hai.

.